Kashmir main Karbla

Karkhana e Qudrat na ruka hay na rukay ga kabhi

Qitar dr Qitar matti kay putlay guzar jaen gay sabhi

Yazeed e maloon hr dor main zinda rha mra nahin kabhi

shahzadian kashmir ki tar tar ho rhin hain tbhi

Zahoor e Karbla honay lga hay roz ba roz

Zahoor e sift e Hussain (R.A) kashmir main ho gi kabhi

Ab koi Zainab (RA) kiun nahin paida hoti khudaya

Bali Skinaain mar rhin hain sabhi

Kufr ki chapain lg rhin hain izzat e Islam pe shabana roz

thi daman betiun k dagh dhul paen ge kabhi

Noor Akhter manind e Kofi tamasha dekh rhay hain sabhi

Ba Qsam e Khudaya ta qayamat un k aansu na rukain gay kabhi

 

 

Hussain Poetry- Shah e Karbla


Kr Kay Fida nana k deen pr

Shah nay apna ghrana kiya tmam

Koi na rha nuqta brabar bhi aitraaz

Shah nay khoon say apnay hujjat  ki  tmam

Tha shah ka safar nokay naiza pr

Nangay sir Zainab(R.A) nay kiya sfar tmam

darbar e Yazeed me ruswa hua yazeed us dam

Bol dia sb Zainab (R.A) nay jo btaya tha khair ul Anaam

mun ko anay lga kaleja us dam bibi ka zindan main

Bali Sakeena (R.A) ki zindaan main huin jb sansain tmam

Dolnay lga takht us badkaar ka

Zainab (R.A) nay kia jb apna kalam tmam

kr kay qurban nanay Asghar ko

Shah nay Haq e Karbla ki hujjat ki tmam

Kaisay byan krun Qurabi e Hussain (R.A) ko Noor Akhter

Haq kay surkh gulabon nay kiya surkhi ka haq tmam