Apni hi awaaz ko beshak kaan mein rakhna

Apni hi awaaz ko beshak kaan mein rakhna
Lekin sheher ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna

 

Mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
Lekin apne sach ko bhi meezan mein rakhna

 

Kal tareekh yaqeenan khud ko dehraayegi
Aaj ke ek ek manzar ko pehchaan mein rakhna

 

Bazam mein yaaron ki shamshir ke johar dekho
Razam mein lekin talwaron ko miyaan mein rakhna

 

Is darya se aage ek samandar bhi hai
Aur woh be-saahil hai, yeh bhi dhyaan mein rakhna

 

Is mausam mein gul daanon ki rasm kahaan hai
Logo, ab phoolon ki aatish daan mein rakhna