Har koi dil ki hathili pe hai sahra rakhe
Kis ko seeraab kare, woh kise pyaasa rakhe
Umr bhar kaun nibhaata hai talluq itna
Ae meri jaan ke dushman, tujhe Allah rakhe
Hum ko achha nahi lagta koi hum naam tera
Koi tujh sa ho to phir naam bhi tujh sa rakhe
Kam nahi tamaa ibadat bhi to hirs-e-zar se
Faqr to woh hai ke jo deen na duniya raqhy
Hans na itna bhi faqiro ke akele pan par
Ja Khuda meri tarah tujhe bhi tanha rakhe
Yeh qana’at hai, ita’at hai ke chahat hai Faraz
Hum to raazi hain woh jis haal mein jaisa rakhe