Samne uske kabhi uski sitaaish nahi ki

Samne uske kabhi uski sitaaish nahi ki
Dil ne chaaha bhi agar, honton ne janbesh nahi ki

Ahl-e-mehfil pe kab ahwaal khula hai apna
Main bhi khamosh raha, usne bhi pursish nahi ki

Jis qadar us se talluq tha chala jata hai
Us ka kya ranj ho, jis ki kabhi khwahish nahi ki

Yeh bhi kya kam hai ke dono ka bharam qaim hai
Usne bakhshish nahi ki, humne guzarish nahi ki

Ek to hum ko adab aadaab ne pyaasa rakha
Is pe mehfil mein sarahi ne bhi gardish nahi ki

Hum ke dukh oṛh ke khilwat mein padey rehte hain
Humne bazaar mein zakhmon ki numaish nahi ki

Ae mere abar-e-karam, dekh yeh veerana-e-jaan
Kya kisi dasht pe tune kabhi baarish nahi ki

Kat maray apne qabeelay ki hifazat ke liye
Maqtal-e-shahr mein thehray rahe, janbesh nahi ki

Woh humein bhool gaya ho to ajab kya hai Faraz
Humne bhi mail mulaqat ki koshish nahi ki