Ab aur kya kisi se masaam barhayein hum
Yeh bhi bahut hai tujhe agar bhool jayein hum
Sahra-e-zindagi mein koi doosra na tha
Sunte rahe hain aap hi apni sadaayein hum
Is zindagi mein itni faraaghat kise naseeb
Itna na yaad aa ke tujhe bhool jayein hum
Tu itni dil zadah to na thi ae shab-e-firaaq
Aa tere raaste mein sitare lutaayein hum
Woh log ab kahaan hain jo kehte the kal Faraz
Hai hai Khuda na karda tujhe bhi rulayein hum