DEDAR

Mother’s Dreams about her lost son

Deedar

Suna hay wo kal aya tha sar e shaam

Afsos to bs yehi hay hmain khabar na hui

Hayat-e-Bashri me tha to mera tha wo

Naajanay Hayat-e-Jadwani main kiun paraya ho gya

Khushboo ki trha mehka karta tha wo meray angan main

Bahisht-e-Gulshan kay phoolun ka wo ab saaya ho ga

Shab bhar sitarun ko taka kartay hain diwana war

khuda janay wo ab konsi subha ka sitara hogya

Diya liye hathun main aas umeed ka ik muddat say

umeed e deedar main kharay hain ik zamana ho gya

Hogi sehar ik deedar ki Noor e Akhter

Hoti nahin sehar shab huay ik zamana ho gaya

 

Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.

 

Meri zindagi

zindagi
zindagi

Meri  Zindagi

Aey zindagi main tujhay ghar lay chalon

kiss qadar badaltay hain dhang tairay

Tujhay dikhanay lay chalon

Dekh to chaman main kese veerani hay

Har chehray pay ajeeb herani hay

koi chalta hay chal nadani say

Koi badalta hay tevar makari say

Aa tujhay tera chalan dikhanay lay chalon

Aa dekh to kesi uri he khak dukhtar ki

Aa dekh to kaisay tapki hay aankh madar ki

Zara dekh to kesa laho hay chasham may madar jae ki

Zara dekh to kesi lachari hay chasham may pidar ki

Aa aey zindagi tujhay tujh hi say maray dikhanay lay chalon 

Kyukar hoe hawa ki beti besharm-o-by haya

Jis nay baich khai laja or sharm-o-haya

Kiasay bikti hai jannat wastay mal-o-mata

Aa aey zindagi tujhy wo bikti hoe jannat dikhanay lay chalon

Zindagi to kattay hain sab jannat ki aas may

Koi betha hai mal-o-mata ki aas may

Or kuch karty hain basar tera firat  kinary ki payas may

Aa aey zindagi tujhy payas say  janbalab chehray dikhanay lay chalon 

Zindagi ki jannat ka yeh haal hay to aakhrat ki kaya ho gi

Bahisht to bhari ha lalach ki aas say 

Khuda janay kay bahisht akhir kesi ho gi

Aa aey zindagi tujhy bahisht kay jaltay hoe pehlo dikhanay lay chalon

Tujy to haq nay tha bary maan say banaya 

Isi khatir malaika say sajda tujhay karwaya

Kabhyi arsh par kabhi farsh par tujhay bulaya

Aina dikhanay ki khatir Noor-e-Akhtar zindagi ko tham hum nay bulaya

Aa aey zindagi tujhay wo aaloda aina dikhanay lay chalon

 

 

  Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.