Na koi ehsaas na pyar na pur josh ankhain kisi ki
lagta hay aisay plastic ka dil rkha ho kisi khilonay main

Na koi ehsaas na pyar na pur josh ankhain kisi ki
lagta hay aisay plastic ka dil rkha ho kisi khilonay main
Kiya mila hmain kisi ko sanwar kr nikhar kr
hum to chlay jaen gay dukhun kay din guzar kar
Dunya main kab pyar k badlay piyar milta hay
daikh chukay hum to hr rishta nata aazma kar
Aaj dil bohat bhar aya hay
Najanay is ko kiya khayal aya hay
Tup Tup brasnay lga kiun pani hay
lagta hay isko koi shuks yad aya hay
Tou Jee lay jitna jeena hay banday akhir moot hay
Do din ki zindagi hay akhir moot hay
Hmesha ki zindagi jee pae ga tu kiya smjhta hay
Bewkoof kar lay naik amaal bs yehi mooqa hay
Muhabbat kabhi thi muhabbat ab to tijarat hoti hay
Day kay hawas ko muhabbat ka naam yay tijarat khulay aam hoti hay
shayad muhabbat kay nam ko jana nahin hum nay
Iski paki or taqadus ko pehchana nahin hum nay
Allah Allah kya dunya bsai Hussain ny
Deen o akhrat ki Janat dekhai Hussain ny
Deen ki khatir qunbah zibah krwaya Hussain ny
Nahi milti misal aesi, tarekh raqam ki apny khoon sy Hussain ny
Na taqleed kufr-o-shirq ki ki kbhi Hussain ny
Katwa k qunbah o sir apna nana k deen ko bachaya Hussain ny
Ab qayamat tk na kr sky koi zair is deen ko
Kr k apny khoon sy aabyasri aesa gulzar khilaya Hussain ny
Koi kafir na loot sky ga phir na looty ga koi zalim isy
Deen ke khatir jasy lootwai hain reedain humshery Hussain ny
Darbar-e- Yazeed main khary ho kr nangy sir kr dali haq ki baat
Phir na btaya kafir-o-momin mai farq aesa jesa btaya darbar-e-Yazeed me humshirey Hussain ny
Phir na bni koi turbut kisi ki zindan mai aesy
Jesi bnwai turbut zindan mai dukhtar-e-Hussain ny
Khangal k dekh lia hum ny tareekh ko Noor-e-akhter
Na dy ska koi qurbani aesi jesi nanhy Asghar ki qurbani di Hussain ny