Bewafa shayari in Urdu for Boyfriend – Pathar Kay Sanam

   Wo nahi dekhta hamain to kia hua.

                     Aao khud ko uskay khayalon may basa kay dekhtay hain.

                          Khobsorat chehray pay tirchi nazroon wala.

      Wo karta ha agar khobsorat war, hum bhi sabar azma kay dekhtay hain.

            Ik din karay ga wo meri muhabbat ka iqrar yakeen ha mujhe.

                   Chalo thori or jawani apni bita kar dekhtay hain.

          Har ik say muhabbat say karta ha wo hus hus kay baat.

     Ao hum bhi bol k muhabbat k do bol taqdeer azma kay dekhtay hain.

                 Dil lagaya ha pathar kay sanam say kiya kijye.

               Khuda say kar kay dua usay moom bana kay dekhtay hain.

              Hum har tor say usay chahtay hain usky dil may haykoi or.

                Aisi bat ha to khud ko koi or bana kay dekhty hain.


   Paish hotay hain jab uskay robro hum to band ho jati hay zubaan hamari.

   Chalo zubaan nahi to ankhon ki jumbish say usay mana kay dekhtay hain.

           Ghar main rahain to kisi tor chain ata nahin hamain kabhi.

              Kar raha hay jafa hum apni wafa azma kay dekhtay hain.                

Ye ik ajeeb sa kulya hay bahar toor.

         Kyun kay wo us taraf dekhta hay or hum usay dekhtay hain.

            Mudatton say baikar para ha senay may hamara yeh dil.

           Ao dil kay badly dil ka soda laga kay dekhtay hain.

     Is say pehlay madham par jae in charagon ki roshni.

   Ankhon kay charagon ki roshni jala kay ik dosray ko dekhtay hain.

 Yeh teri muhabbat ka nasha hay ya kuch or.

         Chalo maikhanay ko aag laga kay dekhtay hain.

          Is say pehlay kay anjaan ho jaein aik dosray kay liye.

      Jan-e-man aik dosray ko sabaq-e-ashnai parha  kay dekhtay hain.     

 Kisy tor wo apnaiyat ka izhar nahi karta Noor-e-Akhtar  hum say.

Ao khud ko uski galiyon main ghuma kar dekhtay hain.

 

 

Chand Shayari- Ae Chand tera husn kia bayan krun

Chand Shayari by Noor Akhter

Aey chand tera husan kya bayan karun ..

  Yakenan tu hasen or lajawab hay ..

Chamaktay sitaron may roshni ka ik minar hay tu ..

Goya sitaron kay jhurmat ka sipa salar hay tu ..

Ishq walay teri madha srai aesay kartay hain …

Jaisay apnay husn-e-mehboob ki tareef kartay hain ..

Dewanay kuch aisay andaz main taka kartay hain ..

Chakor chandni rat main jaisay teri taraf parwaz kartay hain. …

 

teri asliyat ki hamay kuch samajh nahi ati …

Kay husan may aftab tujh say kyun kam hay ka us ki roshni hay tujhay chamkati …

najanay tujh may aisa kaya jalwa hai …

kay mehboob kay hotay huay bhi har ashiq tujh pay fida hay …

 


Khubsurti ki tareef | Husn shayari