Hussain Poetry- Shah e Karbla


Kr Kay Fida nana k deen pr

Shah nay apna ghrana kiya tmam

Koi na rha nuqta brabar bhi aitraaz

Shah nay khoon say apnay hujjat  ki  tmam

Tha shah ka safar nokay naiza pr

Nangay sir Zainab(R.A) nay kiya sfar tmam

darbar e Yazeed me ruswa hua yazeed us dam

Bol dia sb Zainab (R.A) nay jo btaya tha khair ul Anaam

mun ko anay lga kaleja us dam bibi ka zindan main

Bali Sakeena (R.A) ki zindaan main huin jb sansain tmam

Dolnay lga takht us badkaar ka

Zainab (R.A) nay kia jb apna kalam tmam

kr kay qurban nanay Asghar ko

Shah nay Haq e Karbla ki hujjat ki tmam

Kaisay byan krun Qurabi e Hussain (R.A) ko Noor Akhter

Haq kay surkh gulabon nay kiya surkhi ka haq tmam

 

 

Leave a Reply