Posted on September 17, 2024 by Noor AkhterNahin aate humein is mein takraar kya thi Nahin aate humein is mein takraar kya thi Magar wada karte hue aabroo kya thi Tumhare paami ne sab raaz khola Khata ismein bande ki sarkar kya thi Bhari bazm mein apne aashiq ko taara Teri aankh masti mein hoshiyar kya thi Taa’mul to tha unko aane mein qasid Magar yeh bata tarz inkaar kya thi Khiche khud bakhud jaanib-e-toor Musa Kashish teri aye shauq-e-deedaar kya thi Kahin zikr rehta hai Iqbal tera Fasoon tha koi teri guftaar kya thi Share Please!FacebookLinkedInRedditTwitterTumblrPinterestPocketSkypeTelegramWhatsApp Related Related Posts:Jinhain mein dhoondta tha aasmanon mein zameenon meinKhudī woh bahr hai jis kā koī kināra nahīnTujhe yaad kiya nahin hai mere dil ka woh zamaanaMuslim ke lahoo mein hai saleeka dil nawazi ka